*Maa kehti thi uth jaag meri jaan Sakina* *Uth ghar ko chalein khul gaya zindaan Sakina* *(1) Bunday jo tere shimr ne cheenay wo dila dun* *Ek nanhi si chadar main tere sar pe orhaa dun* *Ghar janay ka ab ho gaya saman Sakina* *(2) Ek baar meray seenay se lag jaa zara uth kar* *Kehti thi ye maa qabar-e-Sakina se lipat kar* *Kuch dair ke hain hum tere mehman Sakina* *(3) Masoom se gaalon pe tamachay bhi hai khaye* *Ro ro ke kaha karti thi Baba nahi aye* *Rota hai tere haal pe zindaan Sakina* *(4) Uthti hi nahi laakh uthaya hai kayi baar* *Lo mar hi gayi aaj wo baba ki azadaar* *Lab khol zara maa hai pareshan Sakina* *(5) Waris na raha mera raha na mera Asghar* *Jaati Sakina tumhe zindaan mein kho kar* *Ujra hai mera kaisa gulistan Sakina* *(6) Bin tere Sakina bhala main kaise jiyoon gi* *Baithun gi sada dhoop mein pani na piyun gi* *Jaye gi tere gham mein meri jaan Sakina* *(7) Mayyit pe Sakina ki haram noha kuna the* *Chehre pe Sakina ke tamachon ke nishaan the* *Lo marr hi gayi shaam ki mehmaan Sakina* *(8) Ronay ki sadaa aati hai zindaan se aksar* *Mar ke bhi rehayi na mili hai jisay Akhtar* *Sunsaan sa hai aaj kyun zindaan Sakina* 4:35
Пікірлер: 13