11 Muharram New Noha 2024 | Zainab Jaye Kahan | Ali Akbar Ameen Nohay 2024 | New Nohay 2024 | Nohay 2024 | Mara Gaya Bhai Ran Mein
#nohay2024 #zainab #newnoha2024 #muharram #noha2024 #aliakbarameen #newnoha #nohay #muharram2024 #noha1446 #2024nohay #muharram #aliakbarameennohay #nohay2024new
Istefada E Misra - Burhan Hoda
Title - 11 Muharram Noha Ali Akbar Ameen | Mara Gaya Bhai Ran Mein Zainab Jaye Kaha | New Noha 1446/2024
Related - Nohay Muharram 2024
Reciter - Ali Akbar Ameen
Poet - Waiz Sultanpuri
Chorus - Rizwan Mirza & Team
Vocals - AK Studio
Audio - ODS (Umar Quraishi)
Edit by - Azmat Hyder
DOP - Zahid Ali
Video - @AzadariChittora
Lyrics:-
Maaragaya bhai ran me zainab jaye kaha'n
Ghar baar luta hai ban me zainab jaye kaha'n
1
Is dard bhare manzar ko dekhe bhi to kaise dekhe
Maqtal me bahattar lashe har simt pare hai bikhre
Koi bhi nahi hai kafan me zainab jaye kaha'n
2
Sab bhai bhatije bichhre ankho'n ke ujale bichhre
Ek din me bhara ghar ujra sab god ke paale bichhre
Ab kuch bhi nahi daaman me zainab jaye kaha'n
3
Ghazi ke kate shano ka shabbir ki rukhsat ka gham
Akbar ki judayi ka gham qasim ki shahadat ka gham
Ab taab kaha'n hai badan me zainab jaye kaha'n
4
Is tarha sitamgaro ne ghar loot liya wa waila
Zahra ke bhare gulshan ko taraaj kiya wa waila
Ek phool bacha hai chaman me zainab jaye kaha'n
5
Atthara baradar jiske chalte the muhafiz ban kar
Pardes me ab wo khwahar hai be makna bin chadar
Aur haath bandhe hai rasan me zainab jaye kaha'n
6
Ab shakl mai abdullah ko ja kar ke dikhao kaise
Maare gaye dono bachche waali se batao kaise
Ye soch rahi hai man me zainab jaye kaha'n
7
Qasim ko kaha'n chhor aayi akbar ko kaha'n chhor aayi
Kyu'n saath nahi hai ghazi sarwar ko kaha'n chhor aayi
Poochhenge log watan me zainab jaye kaha'n
8
Khushiya'n thi jaha aye waiz raunak thi jaha'n aye akbar
Abbas jaha rehte the rehte the jaha par sarwar
ab kaun hai us angan me zainab jaye Kahan
Негізгі бет Музыка New Noha 2024 | Zainab Jaye Kahan | Ali Akbar Ameen Nohay 2024 | New Nohay 2024 | Nohay 2024
Пікірлер: 51