Wahi aable hain wahi jalan, koi soze dil me kami nahi
Jo laga ke aag gaye ho tum, wo lagi hui hai bujhi nahi.
Teri yaad aisi hai baawafaa, pashe marz bhi na hui juda
Teri yaad me ham mit gaye, Teri yaad dil se miti nahi.
Kisi aur ki ye jabeen nahi, ye meri jabeen e niyaaz hai
Ke ye jiske dar pe bhi jhuk gayi, to phir uske dar se uthi nahi.
Meri zindagi pe na muskura, mujhe zindagi ka alam nahi
Jise tere gham se ho waasta, wo qhizan bahaar se kam nahi.
Mai qafas me band hoon baaghbaan, mujhe kya gharaz hai bahaar se
Na chaman hai mera na aashiyan to qhizan bhi aye to gham nahi.
Wahi kaarvan, Wahi raaste, Wahi zindagi, Wahi marhale
Magar apne apne maqaam par, kabhi tum nahi kabhi ham nahi.
Na fanaa meri na baqhaa meri, mujhe aye shakeel na dhoondiye
Mai kisi ka huzne qayaal hoon, mera kuch wajood o alam nahi.
Негізгі бет Музыка Wahi Able Hain Wahi Jalan
Пікірлер: 1